Tuesday, September 3, 2013

Ankhon Ko Intezar Ka Hunar Dey Kar Chala Gaya
Chaha Tha Ek Shaks Ko Jane Kidhar Chala Gaya



Ab Intazar Ek Aadat Si Hogai Hai
Khamoshi Se Ek Caahat Si Hogai Hai
Na Shikwa Na Shikayat Karne Ki Zarurat Hai
Kyu ki Is Tanhai Se Ab Mohabat Si Hogai Hai


Kabhi Hum Tute Toh Kabhi Khwaab Tute
Na Jane Kitne Tukdo Mei Armaan Tute
Har Tukda Aaina Hai Zindagi Ka
Har Aaine Ke Saath Laakhon Jazbaat Tute



Chale Aao Tum Ke Hum Yaad Karte Hain,
Yeh Woh Gunaah Hai Jo Hum Baar-Baar Karte Hain,
Jala Ke Dil Mei Hasraton Ke Chirag,
Aapke Aane Ka Intezaar Karte Hain

Jeene Ki Khwaish Mei Har Roz Marte Hain
Wo Aaye Na Aaye Hum Intezaar Karte Hain
Jutha Hi Sahi Mere Yaar Ka Vaada
Hum Sach Maankar Aitbar Karte Hain

Monday, July 15, 2013

Wo Aksar Hum Say Kaha Krta Tha Zindagi Tumhare Naam Kar Di
NA Jane Zindagi Mery Naam Kar Ke Vo Khud Kis Ka Ho Gaya…


Muskura kar kaho toh..
Har baat pyari lagegi.
Ek baar keh ke toh deekho..
Duniya tumhari lagegi.
Khushiya bant Kar to deekho..
Aur ye Zindagi pyari lagegi.



Maat Roko Iss Behte Dard Ko
Saza Hai Ye Kisi Ke Intzar Ki
Keh Lo Inhe Ashk Ya Diwangi
Ye To Nishani Hai Kisi Ke Pyaar Ki
Humain To Kab Se Pata Tha Ke T uBewafa Hai …
Tujhe Chaha Is Liye Ke Shaiyd Teri Fitrat Badal Jaye



Apni Zindgi Se Mujhe Hatane Chale Ho,
Ek Staey Hue Ko Stane Chale Ho,
Kitne Nadan Ho Tum Mere Humdam,
Jo Apne Haton Ki Lakire Mitane Chale Ho.


Hoti Hai Lakh Ghumo Ki Dawa Neend Bhi..... Magar,
Hote Hain Aise Ghum Bhi Jo Sone Nahi Dete



Itne Bhi Haseen Khwaab Na Dikhao Mujhe
Ki Khwaabon Ko To Ek Din Toot Jana Hai
Mana Ki Aakheeri Saans Tak Tum Saath Ho Magar
In Saanson Ko Bhi Humse Rooth Jana Hai




Mere Hath Pe Apna Hath RaKha Usne
Or Poonch Ke Anso Ankhon Se
Wo Dheery Sey Ye Baat Kahy
U Tanha Safar Kabi Kat’ta Nahi
Chalo Hum Bhi Tumhary Sath Chaley



Chupke Se Naam Tumhra ley Kar Guzaar Dein Gey Yeh Zindagi 

Aur Phir Zamaanay Ko Bataayenge Mohbbat Aisi Bhi Hoti Hai




Itni Chahat Ke Us Se Ke Intha Ho Gai,
Wo Mohabt Kar Ke Phir Bewfa Ho Gaya,
Main To Bas Chahti Rahi Toot Kar Usay,
Bas Yahe To Ek Muhj Se Khata Ho Ga

Nikalta chand sabko pasand aata hai
Doobta suraj kaun dekhna chahta hai
Toot’ta hua taara sabki dua isliye poori karta hai
Kyuki use tootne ka dard maalum hota hai…



Is mulakat ka intezaar to krti hain ye bhi ankhein…..
darti hu kahin ye mulakat ka intezaar,
ta-umre-intezaar na ban ke reh jaye…



Maana Ke Bohat keemti Hai Waqt Tera Magar,
Hum Bhi Nayaab Hain Bar Bar Nahi Miltay. . .





Aankho Me Unki Chahat Thi Itni
Ki Chahe Bina Unhe Ham Rah Na Sake
Aur Chahat Me Unki Kashish Thi Itni
Ki Jeetey Ji Unpar Ham Mar Mite
Wo mujh sey bichar kar khush hain to usy khush rehny do,,,,

Mujhe sey mil kar uska udas hona mujhe acha nahi lagta…



Meri sanson mein teri khushboo to basee aaj bhi hai
Dil ki khwahish hai ke tumhay choo ker phir se dekhoon
Dil diwana tha kabhi tera so aaj bhi hai
Teri aankhon mei wohi pyar mein phir se dekhoon
Main ne her lamha khuda se mangee hai dua
Main tere pyaar ka mausam sada hi dekhoon



Ek Roz Tum Ne Thama Tha Hath Mera
Mere Hath Se Tumhare Hath Ki Khushboo Nahi Jati
Tum Bohat PYAR Se Pukartey The Mujhe Ko
Mere Kano Se Tumhari Wo Aawaz Jati Nahi
Main Bulati Bhi Nahi Thi Or Tum Aa jate The
Ab Bolane Par Bhi Meri Aawaz Tum Tak Jati Nahi
Bas Chuky Ho Tum Meri Nas Nas Mei Lahu Ki Tarah
Meri Ulfat Tumhari Rooh Mein Utar Kyun Nahi Jati.?
Main Janti Hoon Ye Raste Tumhare Nahi Hai
Phir Bhi Inrasto Se, Intezar Ki Aadat Jati Nahi,


Thursday, July 4, 2013

Chahaton ka sila

Yahan Chahton Ka Sila Nahi
Yahan Dosti Ka Maza Nahi
Yahan Jaane Kesi Hawa Chali
Rahi Doston Mein Wafa Nahi
Yahan Jal Gaya Mera Aashiyan
Aur Baadlon Ko Pata Nahi
Tere Dar Pe Dastak De Sakoon
Ye Haq Tune Mujhko Diya Nahi
Main Rook Gayi Is Umeed Se
Per Mujhey Manzilon Ka Pata Nahi
Be-Bas Hoon Jahan Mein Itni
Jeise Mera Koi “Qadardan” Nahi
Meri Pyaar Karna He Mera Jurm Hai
Koi Aur Meri Khata Nahi