Tuesday, September 3, 2013

Ankhon Ko Intezar Ka Hunar Dey Kar Chala Gaya
Chaha Tha Ek Shaks Ko Jane Kidhar Chala Gaya



Ab Intazar Ek Aadat Si Hogai Hai
Khamoshi Se Ek Caahat Si Hogai Hai
Na Shikwa Na Shikayat Karne Ki Zarurat Hai
Kyu ki Is Tanhai Se Ab Mohabat Si Hogai Hai


Kabhi Hum Tute Toh Kabhi Khwaab Tute
Na Jane Kitne Tukdo Mei Armaan Tute
Har Tukda Aaina Hai Zindagi Ka
Har Aaine Ke Saath Laakhon Jazbaat Tute



Chale Aao Tum Ke Hum Yaad Karte Hain,
Yeh Woh Gunaah Hai Jo Hum Baar-Baar Karte Hain,
Jala Ke Dil Mei Hasraton Ke Chirag,
Aapke Aane Ka Intezaar Karte Hain

Jeene Ki Khwaish Mei Har Roz Marte Hain
Wo Aaye Na Aaye Hum Intezaar Karte Hain
Jutha Hi Sahi Mere Yaar Ka Vaada
Hum Sach Maankar Aitbar Karte Hain

Monday, July 15, 2013

Wo Aksar Hum Say Kaha Krta Tha Zindagi Tumhare Naam Kar Di
NA Jane Zindagi Mery Naam Kar Ke Vo Khud Kis Ka Ho Gaya…


Muskura kar kaho toh..
Har baat pyari lagegi.
Ek baar keh ke toh deekho..
Duniya tumhari lagegi.
Khushiya bant Kar to deekho..
Aur ye Zindagi pyari lagegi.



Maat Roko Iss Behte Dard Ko
Saza Hai Ye Kisi Ke Intzar Ki
Keh Lo Inhe Ashk Ya Diwangi
Ye To Nishani Hai Kisi Ke Pyaar Ki
Humain To Kab Se Pata Tha Ke T uBewafa Hai …
Tujhe Chaha Is Liye Ke Shaiyd Teri Fitrat Badal Jaye



Apni Zindgi Se Mujhe Hatane Chale Ho,
Ek Staey Hue Ko Stane Chale Ho,
Kitne Nadan Ho Tum Mere Humdam,
Jo Apne Haton Ki Lakire Mitane Chale Ho.


Hoti Hai Lakh Ghumo Ki Dawa Neend Bhi..... Magar,
Hote Hain Aise Ghum Bhi Jo Sone Nahi Dete



Itne Bhi Haseen Khwaab Na Dikhao Mujhe
Ki Khwaabon Ko To Ek Din Toot Jana Hai
Mana Ki Aakheeri Saans Tak Tum Saath Ho Magar
In Saanson Ko Bhi Humse Rooth Jana Hai




Mere Hath Pe Apna Hath RaKha Usne
Or Poonch Ke Anso Ankhon Se
Wo Dheery Sey Ye Baat Kahy
U Tanha Safar Kabi Kat’ta Nahi
Chalo Hum Bhi Tumhary Sath Chaley



Chupke Se Naam Tumhra ley Kar Guzaar Dein Gey Yeh Zindagi 

Aur Phir Zamaanay Ko Bataayenge Mohbbat Aisi Bhi Hoti Hai




Itni Chahat Ke Us Se Ke Intha Ho Gai,
Wo Mohabt Kar Ke Phir Bewfa Ho Gaya,
Main To Bas Chahti Rahi Toot Kar Usay,
Bas Yahe To Ek Muhj Se Khata Ho Ga

Nikalta chand sabko pasand aata hai
Doobta suraj kaun dekhna chahta hai
Toot’ta hua taara sabki dua isliye poori karta hai
Kyuki use tootne ka dard maalum hota hai…



Is mulakat ka intezaar to krti hain ye bhi ankhein…..
darti hu kahin ye mulakat ka intezaar,
ta-umre-intezaar na ban ke reh jaye…



Maana Ke Bohat keemti Hai Waqt Tera Magar,
Hum Bhi Nayaab Hain Bar Bar Nahi Miltay. . .





Aankho Me Unki Chahat Thi Itni
Ki Chahe Bina Unhe Ham Rah Na Sake
Aur Chahat Me Unki Kashish Thi Itni
Ki Jeetey Ji Unpar Ham Mar Mite
Wo mujh sey bichar kar khush hain to usy khush rehny do,,,,

Mujhe sey mil kar uska udas hona mujhe acha nahi lagta…



Meri sanson mein teri khushboo to basee aaj bhi hai
Dil ki khwahish hai ke tumhay choo ker phir se dekhoon
Dil diwana tha kabhi tera so aaj bhi hai
Teri aankhon mei wohi pyar mein phir se dekhoon
Main ne her lamha khuda se mangee hai dua
Main tere pyaar ka mausam sada hi dekhoon



Ek Roz Tum Ne Thama Tha Hath Mera
Mere Hath Se Tumhare Hath Ki Khushboo Nahi Jati
Tum Bohat PYAR Se Pukartey The Mujhe Ko
Mere Kano Se Tumhari Wo Aawaz Jati Nahi
Main Bulati Bhi Nahi Thi Or Tum Aa jate The
Ab Bolane Par Bhi Meri Aawaz Tum Tak Jati Nahi
Bas Chuky Ho Tum Meri Nas Nas Mei Lahu Ki Tarah
Meri Ulfat Tumhari Rooh Mein Utar Kyun Nahi Jati.?
Main Janti Hoon Ye Raste Tumhare Nahi Hai
Phir Bhi Inrasto Se, Intezar Ki Aadat Jati Nahi,


Thursday, July 4, 2013

Chahaton ka sila

Yahan Chahton Ka Sila Nahi
Yahan Dosti Ka Maza Nahi
Yahan Jaane Kesi Hawa Chali
Rahi Doston Mein Wafa Nahi
Yahan Jal Gaya Mera Aashiyan
Aur Baadlon Ko Pata Nahi
Tere Dar Pe Dastak De Sakoon
Ye Haq Tune Mujhko Diya Nahi
Main Rook Gayi Is Umeed Se
Per Mujhey Manzilon Ka Pata Nahi
Be-Bas Hoon Jahan Mein Itni
Jeise Mera Koi “Qadardan” Nahi
Meri Pyaar Karna He Mera Jurm Hai
Koi Aur Meri Khata Nahi

Pyaar ki Batain

Kis Pyaar Ki Batain Karte Ho
Kab Kon Kisi Ka Hota Hai
Kab Kon Kisi Ki Chahat Mei
Yun Zehar Ka Saagar Pita Hai?
Pyaar,Mohabat Our Wafa Ye
Sab Rasmi Rasmi Batain Hai
Har Shakhs Khudi Ki Masti Mei
Bus Apni Khatir Jeeta Hai

Dil

Tum Hi Ne Aayena-E-Dil Mera Banaya Tha
Tum Hi Ne Tor Diya Ha To Koi Baat Nahi
Kise Majaal Kahe Koi Mujh Ko Deewana
Agar Yeh Tumne Kaha Ha To Koi Baat Nahi

Thursday, June 6, 2013

Bas Yehi Soch Ker Tujhse Mohabbat Kerti Hoon Mein 
Mera To Koi Nahi Hai Mager Tera TO Koi Ho!!
Baadal kitne khushnaseeb hai,
Door rahkar bhi zameen par baraste hai,
Hum kitne badnaseeb hai,
Paas rahkar bhi milne ko taraste hai.
A Chand zara ek kaam to kar
Ek raat hamaray naam tu kar,
Bohut door ek apna rehta hai
Jo mujh ko apna kehta hai,
Us aankh mai jo bhe sapnay hein
Wo saaray meri apnay hein,
Un ki pyari se ankhon ko’ chupkay se tum chuh lena
Or phir kehna !
“Tumhe koi yaad karta hai”
Tumhe koi yaad karta hai.
Ek aur Raat chali gai zindgi se
Ek aur din aa raha hai zindgi mei
Ye mat socho ke kitne lamhe hein zindgi me
Ye socho ke kitni zindgi hai har lamhe mei.

Zindagi

Zindagi tere bina adhuri hai,
Na jane tere mere bich mein kaisi yeh duri hai
Ek din sochti hoon ki bhula dun tujhe
Lekin teri ek awaz sun loo ,wo hi meri kamjori hai.
Z¡ndag¡ k¡ khubsurat rahon ma¡n
Jab tum k¡s¡ ko chaho to
Use kabh¡ Aazmana Mat
Kyun ki
Agar woh Be-wafa bh¡ n¡kla to
D¡l Tumhara h¡ Tute ga..
Kisi Ko Na Panay Se Zindgi Khatam Nahi Hoti

Lekin Kisi Ko Pa Kar Kho Dene Se Kuch Baqi Nahi Rehta.
ANKHAIN
Jab Ye Jhukti Hai To
Duniya Ki Har Shay Apne Andar Samait Leti Hai
Jab Ye Dekhti Hai To
Samunder Ki Gehraion Se Moti Nikal Leti Hai
Jab Ye Mskurati Hai To
Duniya Ki Tamam Masumiat Apne Andar samet Leti Hai
Jab Roti Hai To
Arsh Ko Hila Deti Hai
Or Jab Band Hoti Hai To
Duniya Ko Rula Deti Hai

Thursday, May 16, 2013

Ja Aur Koi Dunya Talash Kar
Aey Ishq Hum To Ab Tere Qabil Nae Rahay…



Wo Kitna Mehrban Tha Ke Hazaron Ghum Dey Gaya
Hum Kitne Khud Gharz Nikle
Kuch Na De Sake Pyar Ke Siwa.......



Kuch Nahi Badla Muhabat Main Yahan..
Bus Bewafai Aam Ho Gai Hai…
Humto Bejan Cheezon Se Bhi
Wafa Karte Hain

“PIYA”

Tujh Main To Phir Bhi Meri Jaan Basi Hai
Koi Dukh Na Ho
Koi Gham Na Ho

Koi Aankh Kabhi nam Na Ho
Koi Dil Kisi Ka Toray Na

Koi Saath Kisi Ka Choray Na
Bas Pyar Ki Nadiya Behti Ho

Kaash Ki Dunya Aisi Ho

Monday, May 13, 2013

Meri Chahat To Muqadar Hai Milay Na Milay
Raahat Zaroor Mil Jati Hai Tujhe Apna Soch Kar


Chhaye Hue The Badal Lekin Barse Nahi
Dard Bahut Tha Dil Me Par Hum Roye Nahi
Koi Na Humara Jo Humse Puche
Ki Jag Rahe Ho Kisi Ke Liye Ya Kisi Ke Liye Soye Nahi.....


Zindagi ke kitab mei na jane abhi our ketne gum likhe hai ...wo bhi jee ley humne yeh bhi kaat jaynge....

Bina Btaye Usne Na Jane Kyun Ye Duri Kardi,
Bichad Ke Usne Mohabbat Hi Adhuri Kardi,
Mere Muqaddar Mei Gham Aaye To Kya Hua,
Lekin Khuda Ne Uski Khusiya too puri kar de




Main Wohi Hoon Jaise Tum Pyaar Keya Karte The

Din Main 100 Bar Mera Naam Liya Karte The
Aaj Kya Baat Hai Kyun Mujh Se Khafa Baithe Ho
Kya Kisi Aur Ko Dil Bana Baithe Ho
Fasale Itne To Pehle Na Huwa Karte The

Main Wohi Hoon Jaise Tum Pyaar Keya Karte The

Mujh Ko Maloom Gham Hai Koi Saughat Nahi
Tum Mujhe Apna Kaho Aise Bhi Halat Nahi
Aur Gar Bhool Gaye Ho To Koi Baat Nahi
Zakham To Pehle Bhi Ais Dil Pe Laga Karte The

Main Wohi Hoon Jaise Tum Pyaar Keya Karte The






dekho to phool kitne haseen lagte hain
todenge hum to ye kitne gamgen lagte hain
jab bhi hava chalti hai to ye kaise lehrate hain
apni kushboo se hum sab ko mehkate hain
dekhte hi DIL mein Utar jate hain
jane kab ye pyaar ban jate hain
sab ko ye dosti sikhate hain
bin kahe sab kuch keh jate hain
BARISH mein dhul kar hum ko tadpate hain
kabhi hum ko itna roolate hain
zindagi mein kisi ki yaad chhod jate hain
PHOOLON KO DEKH KAR HI TO HUM MUSKURATE HAIN



बारिश की तरह जब बूंदों ने दस्तक दी दरवाज़े पर, महसूस हुआ तुम आए हो, अंदाज़ तुम्हारे जैसा था।
हवा के हल्के झोंके ने जब आहट की खिड़की पर,
महसूस हुआ तुम चलते हो , अंदाज़ तुम्हारे जैसा था।
मैंने बूंदों को अपने हाथों पर टपकाया तो, एक सर्द सा एहसास हुआ, वो स्पर्श तुम्हारे जैसा था
मैं तन्हा चली जब बारिश में एक झोंके ने साथ दिया, मैं समझी तुम हो साथ मेरे , एहसास तुम्हारे जैसा था।
फिर रूक गई वो बारिश भी , रही ना बाकी आहट भी, मैं समझी मुझको तुम छोड़ गए, अंदाज़ तुम्हारे जैसा था।


Barish Ki Tarah Boondo Ne ,Jab Dastak Dee Darwaze Par.
Mehsoos Hua Tum Aaye Ho,Andaz Tumhare Jeisa Tha..

Hawa Ke Halkey Jhonkay Ne Jab Aahat Ki Khirki Par.
Mehsoos Hua Tum Chaltay Ho,Andaz Tumhare Jeisa Tha..

Main Ne Boondo Ko Apne Hath Par Tapkaya To.
Ek Sard Sa Ehsas Hua,Wo Sparsh Tumhare Jeisa Tha..

Main Tanha Chali Jab Barish Me,Ek Jhonke Ne Sath Diya.
Main Samjhe Tum Sath Ho Mere,Ehsas Tumhary Jesa Tha..

Phir Ruk Gayi Wo Barish Bhi ,Rahi Na Baki Aahat Bhi.
Main Samjhe Muhje Tum Chor Gaye,Andaz Tumhare Jeisa Tha.
Us Ke Deedaar Ko Tarsi Meri Aankhen,
Ki Aaj Raat Bhar Phir Barsi Meri Aankhen,
Keisey Kahun Us Se Ishq Hai Kis Qadar Ke,
Apni He Dharkanon Ko Tarsi Meri Saansen.


Wo Pal Mujhe Yun Sata Raha Hai,
Jeise Ek Gulab Kitab Me Murjha Raha Hai,
Teri Mehak To Meri Sanson Me Basi Hai,
Phir Kyon? Aaj Mujhe Tu Itna Yaad Aa Raha Hai…!
Mein Ne Tum Se
Tumhaen Manga,
To Tum Muskura Diye,
Tum Ye Bhi To Keh
Saktay Thy,
Meri Jaan
Apni Chezaen
Manga Nahi Kartay??
Ab To Zamane Ke Rasmo Rivaaj Bhi Badal Gaye
Hum Jinhen Chahty The Un Ke Mizaaj Badal Gaye
Jate Jate Wo Hum Se Kehny Lagy 
Badal Jao Tum Bhi Dekho Hum to badal Gaye.


Janey Kyon Khud Ko Mujhe Say Juda Kia Us Ne
Jo Na Karna Tha Wo Kiey Us Ne
Yaad Karnay Say Bhi Na Yaad Aaon
Aisay Mujhe Ko Bhula Dia Us Ne
Tum To Bas Wqt Ki Zroort Ho
Mujh Ko Aakhir Bata Diya Us Ne
Apnay Hatho Se Khud Hi Likh Ke Mujhe
Jane Kyon Phir Mita Diya Us Ne,
Chalo Tum Saath Mat Dena,
Mujhy Beshak Bhula Dena,
Naye Sapne Saja Lena,
Naye Rishtey Bana Lena ,
Bhula Dena Sab Hii Waadey,
Sab Hii kasmein, Sab Hii Naatey ,
Tumhe Jana hai Ijazat Hai,
Jo Dil Chahe Wo Sab Kerna,
Magar Ab Tum Kisi Se Bhi
Adhoora Pyar Mat Kerna … !




Maana Ke
Mumkin Nahin
Milan Apna
Par Yeh Soch Kar
Bandha Hay Tujhse
Dill Ka Rishta
Shayad Kay Judaee
Likhte Samay
Dil Bhar Aye
Qatile-E-Taqdeer Ka….


Hum Bhi Maujood Thy
Taqdeer Ke Darwazey Per

Log Daulat Pe Girey Hum
Ne Tujhy Maang Leya




Duniya Ke “Sagar” Mei
Ek Tumhare Hi Kashti Ka Sahara MiLa Tha,
Tum Bhi Wahan Chorr Gaye
Jahan Koi “SahiL” HI Na THA…!!




BAAGH Ka Har Phool Khilta Nahi
Har Qadam Sath Koi Chalta Nahi
Ye Dastoor Hai Shehr-E-Mohabat Ka
Jisay Shiddat Se Chaho Wo Kabhi Milta Nahi





Tum Bujha Kar To Chale Ho,Meri “Yaadon” Ke Charagh,
Kya Karo Gey Kahin Rastay Main Agar “Raat” Ho Gayi To?