Thursday, May 16, 2013

Ja Aur Koi Dunya Talash Kar
Aey Ishq Hum To Ab Tere Qabil Nae Rahay…



Wo Kitna Mehrban Tha Ke Hazaron Ghum Dey Gaya
Hum Kitne Khud Gharz Nikle
Kuch Na De Sake Pyar Ke Siwa.......



Kuch Nahi Badla Muhabat Main Yahan..
Bus Bewafai Aam Ho Gai Hai…
Humto Bejan Cheezon Se Bhi
Wafa Karte Hain

“PIYA”

Tujh Main To Phir Bhi Meri Jaan Basi Hai
Koi Dukh Na Ho
Koi Gham Na Ho

Koi Aankh Kabhi nam Na Ho
Koi Dil Kisi Ka Toray Na

Koi Saath Kisi Ka Choray Na
Bas Pyar Ki Nadiya Behti Ho

Kaash Ki Dunya Aisi Ho

Monday, May 13, 2013

Meri Chahat To Muqadar Hai Milay Na Milay
Raahat Zaroor Mil Jati Hai Tujhe Apna Soch Kar


Chhaye Hue The Badal Lekin Barse Nahi
Dard Bahut Tha Dil Me Par Hum Roye Nahi
Koi Na Humara Jo Humse Puche
Ki Jag Rahe Ho Kisi Ke Liye Ya Kisi Ke Liye Soye Nahi.....


Zindagi ke kitab mei na jane abhi our ketne gum likhe hai ...wo bhi jee ley humne yeh bhi kaat jaynge....

Bina Btaye Usne Na Jane Kyun Ye Duri Kardi,
Bichad Ke Usne Mohabbat Hi Adhuri Kardi,
Mere Muqaddar Mei Gham Aaye To Kya Hua,
Lekin Khuda Ne Uski Khusiya too puri kar de




Main Wohi Hoon Jaise Tum Pyaar Keya Karte The

Din Main 100 Bar Mera Naam Liya Karte The
Aaj Kya Baat Hai Kyun Mujh Se Khafa Baithe Ho
Kya Kisi Aur Ko Dil Bana Baithe Ho
Fasale Itne To Pehle Na Huwa Karte The

Main Wohi Hoon Jaise Tum Pyaar Keya Karte The

Mujh Ko Maloom Gham Hai Koi Saughat Nahi
Tum Mujhe Apna Kaho Aise Bhi Halat Nahi
Aur Gar Bhool Gaye Ho To Koi Baat Nahi
Zakham To Pehle Bhi Ais Dil Pe Laga Karte The

Main Wohi Hoon Jaise Tum Pyaar Keya Karte The






dekho to phool kitne haseen lagte hain
todenge hum to ye kitne gamgen lagte hain
jab bhi hava chalti hai to ye kaise lehrate hain
apni kushboo se hum sab ko mehkate hain
dekhte hi DIL mein Utar jate hain
jane kab ye pyaar ban jate hain
sab ko ye dosti sikhate hain
bin kahe sab kuch keh jate hain
BARISH mein dhul kar hum ko tadpate hain
kabhi hum ko itna roolate hain
zindagi mein kisi ki yaad chhod jate hain
PHOOLON KO DEKH KAR HI TO HUM MUSKURATE HAIN



बारिश की तरह जब बूंदों ने दस्तक दी दरवाज़े पर, महसूस हुआ तुम आए हो, अंदाज़ तुम्हारे जैसा था।
हवा के हल्के झोंके ने जब आहट की खिड़की पर,
महसूस हुआ तुम चलते हो , अंदाज़ तुम्हारे जैसा था।
मैंने बूंदों को अपने हाथों पर टपकाया तो, एक सर्द सा एहसास हुआ, वो स्पर्श तुम्हारे जैसा था
मैं तन्हा चली जब बारिश में एक झोंके ने साथ दिया, मैं समझी तुम हो साथ मेरे , एहसास तुम्हारे जैसा था।
फिर रूक गई वो बारिश भी , रही ना बाकी आहट भी, मैं समझी मुझको तुम छोड़ गए, अंदाज़ तुम्हारे जैसा था।


Barish Ki Tarah Boondo Ne ,Jab Dastak Dee Darwaze Par.
Mehsoos Hua Tum Aaye Ho,Andaz Tumhare Jeisa Tha..

Hawa Ke Halkey Jhonkay Ne Jab Aahat Ki Khirki Par.
Mehsoos Hua Tum Chaltay Ho,Andaz Tumhare Jeisa Tha..

Main Ne Boondo Ko Apne Hath Par Tapkaya To.
Ek Sard Sa Ehsas Hua,Wo Sparsh Tumhare Jeisa Tha..

Main Tanha Chali Jab Barish Me,Ek Jhonke Ne Sath Diya.
Main Samjhe Tum Sath Ho Mere,Ehsas Tumhary Jesa Tha..

Phir Ruk Gayi Wo Barish Bhi ,Rahi Na Baki Aahat Bhi.
Main Samjhe Muhje Tum Chor Gaye,Andaz Tumhare Jeisa Tha.
Us Ke Deedaar Ko Tarsi Meri Aankhen,
Ki Aaj Raat Bhar Phir Barsi Meri Aankhen,
Keisey Kahun Us Se Ishq Hai Kis Qadar Ke,
Apni He Dharkanon Ko Tarsi Meri Saansen.


Wo Pal Mujhe Yun Sata Raha Hai,
Jeise Ek Gulab Kitab Me Murjha Raha Hai,
Teri Mehak To Meri Sanson Me Basi Hai,
Phir Kyon? Aaj Mujhe Tu Itna Yaad Aa Raha Hai…!
Mein Ne Tum Se
Tumhaen Manga,
To Tum Muskura Diye,
Tum Ye Bhi To Keh
Saktay Thy,
Meri Jaan
Apni Chezaen
Manga Nahi Kartay??
Ab To Zamane Ke Rasmo Rivaaj Bhi Badal Gaye
Hum Jinhen Chahty The Un Ke Mizaaj Badal Gaye
Jate Jate Wo Hum Se Kehny Lagy 
Badal Jao Tum Bhi Dekho Hum to badal Gaye.


Janey Kyon Khud Ko Mujhe Say Juda Kia Us Ne
Jo Na Karna Tha Wo Kiey Us Ne
Yaad Karnay Say Bhi Na Yaad Aaon
Aisay Mujhe Ko Bhula Dia Us Ne
Tum To Bas Wqt Ki Zroort Ho
Mujh Ko Aakhir Bata Diya Us Ne
Apnay Hatho Se Khud Hi Likh Ke Mujhe
Jane Kyon Phir Mita Diya Us Ne,
Chalo Tum Saath Mat Dena,
Mujhy Beshak Bhula Dena,
Naye Sapne Saja Lena,
Naye Rishtey Bana Lena ,
Bhula Dena Sab Hii Waadey,
Sab Hii kasmein, Sab Hii Naatey ,
Tumhe Jana hai Ijazat Hai,
Jo Dil Chahe Wo Sab Kerna,
Magar Ab Tum Kisi Se Bhi
Adhoora Pyar Mat Kerna … !




Maana Ke
Mumkin Nahin
Milan Apna
Par Yeh Soch Kar
Bandha Hay Tujhse
Dill Ka Rishta
Shayad Kay Judaee
Likhte Samay
Dil Bhar Aye
Qatile-E-Taqdeer Ka….


Hum Bhi Maujood Thy
Taqdeer Ke Darwazey Per

Log Daulat Pe Girey Hum
Ne Tujhy Maang Leya




Duniya Ke “Sagar” Mei
Ek Tumhare Hi Kashti Ka Sahara MiLa Tha,
Tum Bhi Wahan Chorr Gaye
Jahan Koi “SahiL” HI Na THA…!!




BAAGH Ka Har Phool Khilta Nahi
Har Qadam Sath Koi Chalta Nahi
Ye Dastoor Hai Shehr-E-Mohabat Ka
Jisay Shiddat Se Chaho Wo Kabhi Milta Nahi





Tum Bujha Kar To Chale Ho,Meri “Yaadon” Ke Charagh,
Kya Karo Gey Kahin Rastay Main Agar “Raat” Ho Gayi To?



Hamare Dil Ki Gehrai Ko Koi Samjh Paya Hi Nahi,
Kitne Tanha Hain Hum Koi Jaan Paya Hi Nahi
Kisi Ko Hamari Kami Mehsoos Ho ,
Khuda Ne Hame Aisa Banaya Hi Nahi  






Mat Karo Koi Wada Jise Tum Nibha Na Sako,
Mat Chaho Use Jise Tum Pa Na Sako,
Pyaar Kahan Kisi Ka Poora Hota Hai,
Iska To Pehla Shabd Hi Adhoora Hota Hai




Koi To Saawan Aisa Ho Jo Tere Sang Barse
Tanha To Meri Aankhein Har Roz Barsti Hai…!




Duniya Ke Bheed Mei Kahi Kho Gaye Ho Tum To,
Ye Saadgi Humare Shayad Raas Aati Nahi Ab Tum Ko........
Aur Bhi Kar Deta Hai Dard Mein Izafa
Tere Hote Hue Gheroon Ka Dilasa Dena.......



Tu Hi Bata Kahan Se Dhoondh Kar Laon Ab Apne App Ko.
Tujhy Pane Ke Liye Main Ne Khud Ko Kho Diya Hai.




Honth Keh Nahi Sakte Jo Fasana Dil Ka
Shayed Nazar Se Woh Baat Ho Jaye
Is Umeed Mein Karte Hain Intezaar Raat Ka
Ke Shayed Sapne Mein Mulaqat Ho Jaye





Hum To Uski Har Khwaish Puri Karne Ka Wada Kar Beithe
Hume Kya Pata Hume Chorna Bhi Uski Khwaish Thi..
Faasla Itna Barhane Ki Zarurat Kya Thi ?
Tujhe Mujhe Se Rooth Kar Jane Ki Zarurat Kya Thi ?

Ab Jo Mujh Se Rooth Kar Udaas Rehtay Ho,
Apna Haath Mere Haath Se Chhurane Ki Zarurat Kya Thi

Dunya Kab Kisi Ke Gham Ko Apna Gham SAmajhti Hai
Tujhe Apna Gham Duinya Ko Dikhane Ki Zarurat Kya Thi,

Main Aaj Tak Is Baat Ko Nahi §Amajh Paei 
Jab Sath Tumharae Main Thi To Tum Ko Zamane Ki Zarurat Kya Thi.?
Maana Ke Bohat keemti Hai Waqt Tera Magar,
Hum Bhi Nayaab Hain Bar Bar Nahi Miltay. . . .
Ab To Zamane Ke Rasmo Rivaaj Bhi Badal Gaye Sath Chalne ka Dawa Karte Hai Par Sath Nahi Chalte.....
Meri Aankhon Me Nami Ka Hi Smaan Rehta Hai,
Dil Me ek Dard Jo Muddat Say Jawaan Rehta Hai,
Wo Jo Kehta Tha Ke Bichrein Gey To Mar Jaein Gey,
Ab Ye Maloom Nahi Hai,Wo Kahan Rehta Hai,
Ek Us Ko Meri Chahat Ki Zroorat Na Rahi,
Wo Samjhta Hai Ke Main Bhool Gayi Hon Us Ko,
Khud Say Bhi Ziyada Mujhy Jis Ka Dheyaan Rehta Hai,
Ye Udasi Mere Sath Rahte hai Ajj Kal,
Jesy Dil Pey Koi Zakhmon Ka Nishan Rehta Hai..
Pyar Ki Rasmo Ko Nibhana Aasan Nahi Hota
Uski Kasmo Par Chalna Aasan Nahi Hota
Cchod Diya Humne Pyar Karna Kyunki
Apne Pyar Ko Kisi Aur Ke Saath Dekhna Aasan Nahi Hota
"Kuch Aisay Hadsay Bhe Zindage Main Hoty Hain ” 
‘” Ke Insan Bach To Jata Hai Magar Zinda Nahi Rehta”
Na Tujhe Chorr Sakte Hain Tere Ho Bhi Nahi Sakte
Yeh Kaisi Bebasi Hai Aaj Hum Ro Bhi Nahi Sakte

Yeh Kaisa Dard Hai Pal Pal Hamain Tarpaye Rakhta Hai
Tumhari Yaad Aati Hai To Phir So Bhi Nahi Sakte

Kaha To Tha Chorr Denge Yeh Nagar Phir Ruk Gaye Lekin
Tumhain Paa To Nahi Sakte Magar Kho Bhi Nahi Sakte

Hamara Ek Hona Bhi Nahi Mumkin Raha Ab Tooooo
Jeeyen Kaise Ke Tum Se Door Reh Bhi Nahi Sakte
BAAGH Ka Har Phool Khilta Nahi
Her Qadam Sath Koi Chalta Nahi
Ye Dastoor Mohabat Ka
Jisay Shiddat Se Chaho Wo Kabhi Milta Nahi