Friday, December 25, 2009

APP KE YAAD MEI ...


KABHIE LIKHTE THE KISI KI YAAD MEIN,
AAJ LIKHTE HAIN KHDA KO FARIYAAD MEIN,
KHUSH RAKHE UNHE UMRABHAR KE LIYE,
JO RAHTE HAIN DIL KE GULISTAAN MEIN.
YAAD KARTE KARTE EK ARSA GUZAR GAYA HAI,
HAMARI LIYE TO WAQT JAISE THAM SA GAYA HAI,
YAAD KARTE HAIN WOH HUMEIN YE JAANTE NAHI HUM,
DHADKANO KA SILSILA JAISE RUK SA GAYA HAI.
HUMEIN CHHEDKAR WO KAHA KARTE HAIN,
KI KABHIE HAMARA HAAL BHI JAAN LIYA KARIYE,
AB HUM KAHE TO KAISE,
KI UNKI HAR DHADKAN PAR HAMARI NIGAAH HOTI

Saath


Tumhare saath guzare un lamho ki yaad
aaj fir unhi waadiyo me kheench layi hai
nazre bhi wahi hai or nazaare bhi wahi
nahi ho to bus tum
tumhe un waado un waafao ki kasam
bus ek baar ek pal ke liye chale aao
us pal me tamaam umar jee jayenge hum

Tuesday, November 24, 2009

Hum bhi dil laga ke dekhenge


Ek baar yeh gunah karke dekhenge
hum bhi dil laga ke dekhenge

suna hai mohabbat zindgi tabah karti hai
hum bhi khud ko mita ke dekhenge

suna hai ishq ek aag ka dariya hai
hum bhi khud ko jala ke dekhenge

suna hai raaten karwaton me guzarti hain is pyar me
hum bhi apni neende uda ke dekhenge

suna hai ek ajeeb sa nasha hai yeh chahat
hum bhi apne hosh gavaan ke dekhenge

suna hai kho jate hain aksar pyar karne wale
hum bhi khayalon ki mehfil saja ke dekhenge

hum bhi dil laga ke dekhenge

Saturday, October 24, 2009

Tanhayi

Tanhayi se chal kar, Tanhayi mein kho jaate hain
Na jaane kyun mere kadam, itne majbur ho jaate hain
Bhula kar usse phir, ussi koh yaad karte hain
Mere Zakhm bhi jaise, uske mohtaaj ho jaate hain
Sookh kar aankhien, phir behne lagte hain
Ye Aansu bhi jaise uske, deedar koh taras jaate hain
Khamosh ho kar bhi, zuban par chale aate hain
Ye lafz bhi jaise ussi se, kuch kehna chahte hain
Dard koh aksar baandha hai, maine muskurahat mein
Shayad Bebas ho kar hi ye Ehsaas, Mere naghmon mein utar jaate hain........

Thursday, September 24, 2009

Hume Jeene Nahi Deti Hai Ye Gujari Huyi yaadein
Hame Se Bhooli Nahi Jati Hai Ye Biti Huyi Baatein
Ab Kaise Kahein Ham Tum se Ye Dost Teri Baatein
Hame Har Pal Yaad Dilata Hai Teri Har Chhoti chhoti Baatein.

Wednesday, September 16, 2009

duri


Tu mujhse Dur kaise hai
Main Tujhse dur Kaisi hoon
Ye tera Dil samjhta hai Ya
Mera Dil samjhta hai
Raat ki tanhaiyon mein jab main akeli hoti hoon
To chaand se baatein karti hoon
Mil jaati hai teri har khabar mujhe
Main taaro se keh dete hoon
Tera aur mera rishta kuch ajeeb hai
Tum saans waha lety ho
main mehsuus yahan kar leti hoon

yaadon


Kuch is tarah woh mere Dil main rahate hain,
Jitana main Bhulaon woh utana hi yaad ate hain,
Rahate hain who Bhale hi Humase door
Par Palaken Band karane par Unko hi pate hain...
Bas Tum ho Mere Dil ki har Dhakan main,
Aaj bhi Hume, Bas teri hi sada sunai deti hai,
Tanhai main bas,
Teri Yaadon ko hi Humane sath paya,
Bin tere Hume,
Ye sari Duniya Begani dikhai deti hai,
Hum Jee to sakate hain,
Tere bin, par Ye Zindagi Parayi si mahsoos hoti hai,
Har pal mitaya tujhe Dil se,
Par Dhadkano main teri Aahat sunai deti hai.
Hum Hote hain kyon Udass
dur jakr bhi unse dur ja na sake, kitne roye ki kisi ko batana sake, dard ye nahi ki wo hame mil na sake, dard ye hai ki ham unhe bhula na sake.....

Tuesday, September 15, 2009

yaad


Saath na hoke bhi saath mehsus karte hai unhe
zindagi ke har pal me yaad karte hai unhe
na jaane kyu yakeen sa hota hai ki milenge hum kabhi hakikat me
jab milenge, wada hai sab kuch lutaa denge unki chahat me...
ehsaas sa hota hai ki vo bhi hume yaad karte honge
Dour hu mei fir bhi paas mehsus karte honge
lekin ankhon se ashkon ka dariya behne lagta hai
jab sochti hu ki yaad karte honge to ussi yaad me rootey bhi honge...
Dour jab tum mujh se ho to yeh khyal aata hai
Kya meri tarah tum bhi aahein bhar rahe ho
Phir jab aati hain mujhe hichkiyan
Yeh sochti hoon ki tum mujhe yaad kar rahe ho.

Wednesday, August 12, 2009

DEEWANI


Likhi hai ye ghazal sirf tumhare liye,

Deewani bani bhi to sirf tumhare liye,

Kisi ko nahi dekhein gi ab ye ankhein,

Nazrein tarsein gi bhi to sirf tumhare liye,

Har sans mein yaad karun gi tumhe,

Ye saans nikle bhi to sirf tumhare liye,

Har pyar se pyare lagte ho tum mujhe,

Mein ne pyar sikha bhi to sirf tumhare liye..........

Tuesday, July 28, 2009

DO AJNABE........


Chalo hum do ajnabi kisi raste par chale jaha dur dur tak koe bhi na ho....
sirf tum ho aur main hoon...
kuch simte si kuch sharmaye si appne hi saye si kuch hum ghabraye si...
chalo hum do ajnabi kisi raste par chale........
jis tarh nadi ki do kinare nahi mil skty ..kuch rishty bhi ese hi hoty hai...
jo milne ki ley tarsty hai aur is umeed si chalty hai us nadi ko akheer sagar
si ja milna hi hai use tarh us umeed si chalty hai .....
hum bhe shayad mil jay hum bhi us sagar mei ja kar........
chalo hum do ajnabi kisi raste par chale jaha dur dur tak koe bhi na ho....
Nile veshal sagar mei muthi bhar khusheeya hum ne bhe chura lee hai ........
band akhoo mei mithe si spane hum ne bhe sja ley hai ...
us nile akash mei ucha udhne ki chahat hum mei bhe ab jage hai.....
bas ek pal mei zindagi badal jati hai ,
ajnabi ban jati hai appne..
dil mei bas jate hai ek pal chah kar bhi dur na ja pate hai us ajnabi se....
chalo hum do ajnabi kisi raste par chale jaha dur dur tak koe bhi na ho....
Dil ye humara app si ye kah raha hai sun lo humare dil ki baat ..
appne tanhaeyo mei apna saya bhi nahe, koe apna bhi nahe praya bhi nahe.
kesi awaz du..sare jhoote wade hai....
zindgi ki pal pal ye kahani hai .....
kesi awaz du .. dil humara app si ye kah raha hai sun lo humare dil ki ye baat...
appne tanhaeyo mei koe saya bhi nahe ........
kesi awaz du....

Tuesday, July 21, 2009

DOORIYA


Dooriyon se farq nahi padta, Baat to dilon ke nazdikiyon se hoti hai...
har ahhaht un ke aane ka ehssas dilati hai...
har hawa ke jhunke mei un ke khushboo hum ko atte hai.......
humare khamooshe ko wo humara nikar samjhte hai..
par chup rahna bhe to pyaar ke ek nishani hai....
un ke khayalon mei khoye rahty hai hum , ek pal ke liye hume rahat nahi milti.....
un ka khayal dil se ja nahe sakta tamaam umer main un ko bhula nahe sakte ....
dil ke dard ko sambhal pana asan nahe hota ...
har koe dil mei bas jaye ye bhe nahe hota ....
or jo bas jata hai us ko asni se bhulna asan bhe nahe hota....
ISLY BOLTY HAI DOORIYO SE FARQ NAHE PADHTA HAI..
PYAAR TO DIL SE JUDHA HOTH HAI....
DOORIYA CHAHE JETNI BHE AA JAY PAR PYAAR KABHE KAM NAHE HOTA ........

Saturday, July 18, 2009

ISHAK YE KAISA AJEEB ISHAK HAI


Ishak bhe ye kaisa ajeeb hai .........
jage sari raat hum app ke intzar mei. asman par taro mei dhundhty hai tum ko..
teri khushboo ko hawao mei mahsoos karty hai ishak ye kaisa ajeeb hai......
tanhaeyoo mei dhundha tum ko dil ke gehraeyo mei dhundha tum ko
ishak ye kaisa ishak re........
khud ko tanha samjhte hai logo ke is bhidh mei...un ke dur jane se khud ko tanha samjhte hai ..haye re ye kaisa ishak hai.........
tum ko hum appne saye mei dhundhe har ek chahre mei tum hi deekhe...
ishak ye kaisa ishak hai.........
tum hi humara dil ho ...tum hi humare dhadkan ho......
tum hi humare sanse ho ...tum hi hamare zindagi ho....
tum hi humare moohabat.. tum hi humara pyaar bhe ho...
tum hi humare rooh ho tum hi humare jaan bhe ho.....
ye ishak bhe kaisa ajeeb ishak hai.....
baresh ke boondo mei dhoondhte hai ye nazar tum ko ...
jane kyu khuda ne baana diya etna fasla ke un ke ane ke
ahahat bhe na aye un ke hum ko.........
kaha dhoondhe us tare ko....
jasi rooh se bichhad gayi hai pehchaan
ye ishak bhe kaisa ajeeb ishak hai.....................

Tuesday, July 7, 2009

Ye joh zindagii ke kitaab bhi kitni ajab kitaab hai
Kahinn ek haseen saa khwab hai
Ham unki yaad mein duniya ko bhool gaye hain
aur ek woh hain ke ghairon se dil lagaye hain
Hasi ki raah me gum mile to kya kare, Wafa ki raah me bewafa mile to kya kare Kaise bachaye zindgi ko dhokay bazo se Koi muskura ke dhokha de to kya kare.
Usne kaha mujh se kitna pyaar hai, mene kaha sitaron ka koi shumaar hai. Usne kaha kaun tumhe hai bahut aziz, mene kaha dil pe jise ikhtiyar hai. Usne kaha kaun sa tohfa hai pasand, mene kaha wo shaama jo ab tak udhaar hai. Usne kaha saath kaha tak nibhaoge, mene kaha jitni ye saanson ki taar hai. Usne kaha mujhko yaqeen aaye kis tarah, mene kaha mera naam hi aitbaar hai...

Thursday, July 2, 2009

YAADEIN

yaadein akasar logo ki yaad dila jaati hai.. soote main hume dara kar jaati hai ..yaadein se pucha ek din maine tum akhir yaadein kyun kehlati ho yaadein boli yaadein hai dil ki aatma yaadein hai khamosh sajna yaadein hai wafe se wafadar sathi yaadein hai aankhon ke aansuo ke samondar ke moti yaadein hai phoolon ki khoye huye khusbu yaadein hai sache pyar main chupi huye deewangi.

Thursday, June 4, 2009

प्यार


फिजा ने जब दरिया में पानी को सहलाया तो जितने बल खाके पानी किनारों से टकराया उतनी बार ऐ मेरे प्यार तू याद आया ---------जब बारिश की बूंदों ने धरती को चूमा हमने ज़मीन पर बिखरते सितारों को पाया जितने सितारों को सावन ने बरसाया उतनी बार ऐ प्यार तू याद आया ----------फिजा ने जब गुलशन में फूलो को महकाया तो जितनी बार महक को हम ने अपनी साँसों में पाया उतनी बार ऐ मेरे प्यार तू याद आया ---------बादलों के पीछे से जब सूरज यूँ मुस्काया उसकी नरम किरणों से तू ने जब ज़िन्दगी की लौ को जलाया उतनी बार ऐ मेरे प्यार तू याद आया —-------गुलशन की राहों से जब मैं गुजरी जितनी खुशगवार एहसासों को मैंने करीब पाया उतनी बार ऐ मेरे प्यार तू याद आया ---------ऐ काश के तू हर वक्त यूँ ही मेरे साथ रहे न मैं कुछ कहूँ तू बीही खामोश ही रहे बस नज़रों से नज़रें इशारो में बातें कहे ,और देख कर यूँ ही हमे
कोई और दीवाना भी यह कहे -------
ऐ प्यार तू याद आए ------------ऐ प्यार तू याद आए -----------

मोहबत

एक बार दिल ने मोहब्त से कहा॥ये आंसू क्यों बार बार आ जाते है मोहब्त बोली ... जिसको दिल में जगह दी हो ,वो जब बिछड़ता है तो आंसू तो निकलते ही है ..कोई रोकर जुदा होता है, कोई हँसकर जुदा होता है, जुदा होने का गम तो तब होता है, जब कोई किसी का होकर जुदा होता है.......

Wednesday, June 3, 2009

मोहबत


मोहब्त तो हो जाती है पर उस पर एतबार क्यों नहीं करता है दिल .........क्यों अपनी मोहब्त पर एतबार नहीं करता है ये दिल .............क्यों दूर जा कर दिलो में दूरिया आ जाती है.........क्यों अपनी ही मोहब्त पे यकीन नहीं रहता......क्यों दिलो में प्यार की जगह शक लेलेती है जगह .......क्यों उस मोहब्त से एतबार खत्म हो जाता है जिस पर सब कुछ कुर्बान कर देते है ये दिल .......जो सब से ज्यादा प्यारा होता है इस दुनिया की भीढ़ में ,वो ही अचानक से क्यों जुदा सा हो जाता है इस दिल से , क्यों हम अपनी मोहब्त पर एतबार नहीं करते, मोहब्त तो कर लेते है पर क्यों उस पर एतबार नहीं करते ........
जिस की चाहत पर मरता है ये दिल ,क्यों वो जुदा हो जाता है ,केसे दुरिया जीने को मजबूर कर देती है क्यों रूह में बसने वाले दिल से जुदा हो जाते है ...........मोहबत तो कर लेते है पर एतबार क्यों नहीं कर पाते है....... ये दिल क्यों एतबार नही करता अपनी मोहबत पर ....................क्यों????????

Tuesday, May 26, 2009

तुम को छूने को करता है ये दिल ......


तुमको छूने को करता है ये दिल ........
दिल पा कर भी , पाने को करता है ये दिल .......
जीने को करता है ये दिल ,पर तेरी यादो पे मरने को करता है ये दिल ........
तेरी यादो में जीने को करता है ये दिल , पर तेरी दुरी से डरता है ये दिल ......
तुझ को छुने को करता है ये दिल , पर छु कर महसूस करने को करता है ये दिल.....
रुक जाती है धडकन तुझे भुल जाने से ,तुझे याद करते है पर , जीने के बहाने से ढूंढता है ये दिल .....
शायद इसलिए आज फिर ,तुमको छूहने की खवाइश ये करता है दिल .......
तुमको छूने को करता है ये दिल ........

Thursday, May 21, 2009

सिर्फ इंतज़ार नहीं ऐतबार ..............


सिर्फ इंतज़ार नहीं ऐतबार भी चाहता है ये दिल, बेक़रारी के साथ साथ दीदार भी चाहता है ये दिल,वो जो सपने में भी कह दे , न हमे अपना ,उसे ही हकीक़त मानता है दिल, दिल का दर्द तो दिलवाले ही जानते है,वो क्या जाने जिसेने दिल लगाया ही नहीं है .......सिर्फ इंतज़ार नहीं ऐतबार भी चाहता है ये दिल.

Wednesday, May 20, 2009

RAAT NE UDHA LEE HAI ............


RAAT NE AUDH LEE HAI KOHRE KE YE CHADAR....
SHAYAD INTZAR HAI RAAT KO APPNE CHAND KE AANE KA,
CHAND KO BHI INTZAR HAI RAAT SE MILNE KA...
RAATO KI TAANHYI MEI HUM UNKO YAAD KIYA KARTEY HAI
CHAND TAROO SE HUM APNI MOHABBAT KI BAATEY KIYA KARTEY HAI
EK WO HAI UNKO KOI KHABAR NAHI
OR EK HUM JO UNKE DUA KE LIYE TAAROON KE TOOTNE KA INTZAR KIYA KARTEY HAI.....
RAAT NE FIR SE AUDH LEE HAI YE KOHRYE KE CHADAR KYUN ????????...........

Main khushi ke chah main ,

Main har khushee ke chah me,
har khushee se dur ho gayi ,
dhundhne chaly thi zindagi,
zindagi se dur ho gayi..

Jagi jagi se palkoo me,
pyaar ka wo jo khawab tha,
na muhje ahsas tha,
jhoothe sapno ke liye,
main bhatki kahan kahan,
dhundhne chaly thi zindagi,
zindagi se dur ho gayi......

Paas thi meri manzil,
chah ke bhi na main ja saki.....
sukh wo tha , jis ki arzoo,
main paa ke bhi na paa saki,
bheedh mein bhi tanha,
na paye koi manzil na koi jahan...
dhundhne chaly thi zindagi.....
zindagi se dur ho gayi......

Main khushi ke chah main ,
har khushi se dur ho gayi,
dhundhne chaly thi zindagi....
zindagi se dur ho gayi............

Tuesday, May 19, 2009

मेरी कहानी हो तुम


मेरी कहानी मेरा क़िस्सा हो तुम..तुम्हे कैसे भुला सकती हूं कैसे दिल से मिटा सकती हूँ ,
मेरी साँसों का हिस्सा हो तुम हम प्यार की डोर से बंधे भी हुए हैं टूटे भी हुए हैं...और हाथ से हाथ ये बंधे भी हुए हैं छूटे भी हुए हैं हम साथ है पर पास नही दूर ही सही पर मेरी तो मंज़िल हो तुम..मेरी कहानी .. मेरा क़िस्सा हो तुम..तुम्हे कैसे भूल सकती हूँ कैसे दिल से मिटा सकती हूँ , मेरी साँसों का हिस्सा हो तुम...मेरी कहानी मेरा क़िस्सा हो तुम..

Monday, May 18, 2009

KOI TO HOTA....

KOI TO HOTA....
MAIN JIS KE DIL KI KITAAB BANTI,
KOI TO HOTA ....
JO MERI KHWAHISH ME UTH KE RAATON KO KHOOB ROTA,DHUKHON KI CHAADAR LAPET KAR,
IS ZALIM DUNIYA SE DOOR HOTA,
MAIN ROOTH JAATI WO MANATA MUJH KO ,KI CHAHAY QASOOR MERA HOTA,
KOI TO HOTA....
MAIN JIS KE ITNE QAREEB HOTI ....
NA PAAS KOI GAM HOTA,
MAIN ,TANHAI OR US KA PYAR HOTA,
YEH SILSILA BHI AJEEB HOTA,
KOI TO HOTA……
KOI TO HOTA .....

Sunday, May 17, 2009

KABHI TUM SE SHEKAYAT HAI

kabhi tum se shekayat hai
kabhi khud se gila hai hum ko
samjh mein yeh nahi aata hai humko
tumhe khoya hai ya paya hai
nahi hai hum ko ,koi khabar kahan ja rahe hai hum
kahan manzil hai apni or kahan hum ko hai jana...

Likhoon kuch aaj yeh waqt ka takaza hai

Likhoon kuch aaj yeh waqt ka takaza hai , Dil me dard abhi bhi taaza hai , Gir padte hai aansoo mere kagaz pe , Lagta hai kalam me syaahi kam aur teri yaad zyada hai.... Tujh ko apni jaan ka salam likhoon .. Dil ki kitaab mein arman likhoon .... Kash hum ko mil jaye Aasman ki hukumat... Sitaron ki jagah mein tera naam likhoon .... Todna hota to rishta hum na banate , Umeed nahi hoti to hum sapney na sajaate, Aitbaar kiya humne aapki wafa pe, Bharosa na hota to dil aapke haath me na thamatey.... . Dil walay ankhoon ke baat samjh lete hain , Khawab main mil le to mulaqat samajh lete hain , Rota to Aasman bhi hai kisi ke pyaar main , par log na jane kyu us ko barsat samjh lete hai.......likhoon aaj kuch yeh waqt ka takaza hai.........likhoon aaj ye waqt ka takaza hai........

Muskurahat

khubsurat hai wo muskurahat jo dusro ke chehroh par bhi muskan sajaa de,
khubsurat hai wo dil jo kisi ke dard ko samjhey jo kisi ke dard mein tarpey khubsurat hain wo... jazbat jo kisi ka ehsaas karein khubsurat hai wo ehsaas jo kisi ke dard ki dawa baney khubsurat hain wo batein jo kisi ka dil na dukhaein khobsoorat hain wo ankhein jin mein pakezgi ho sharm ho haya ho khubsurat hain wo ansoo jo kisi ke dard ko mehsoos karke beh jaein khubsurat hain wo Hath jo kisi ko mushkil waqat mein tham lein khubsurat hain wo qadam jo kisi ki madad ke liye aagey barhein ..khubsurat hai wo sooch jo kisi ke liye acha sochey khubsurat hai wo insan jis ko KHUDA ne ye khubsurati ada ki

अपनी मोहब्बत से रूठा नही करते


अपनी मोहब्बत से रूठा नही करते
न पूछो केसे कटे है
ये हजारो पल तुम्हारे बिन
कभी ये यादें रुलाती है
तो कभी ये मौसम सताते है
हमसे इंकार न करना
हमसे नाराज़ न होना
हमें दिल में बसालेना
हमें अपनी मोहब्बत देना
इस तर्पे हुए दिल से
यु रूठ नही करते
मोहब्बत है तू इबादत है तू
इस को यु रुसवा नही करते
इस ब्य्दर्द ज़माने से छुपाते है
कभी किसी से चर्चा भी नही करते
ऐ मेरी मोहब्बत ऐसा नही करते
ऐ मेरी मोहब्बत ऐसा नही करते
````````````````````

Saturday, May 16, 2009

Kabhi Hoti Thi Tumse Baate Pal Pal Ki,Aaj Ek Mulakat Ke Liye Taras Jate Hain,Kabhi Mere Bina Ek Pal Reh Nahi Pati Thi,Aaj Hum Unse Ek Baat Ke Liye Taras Jate Hain.


Aaj phir aaina poochta hai,Ke teri aankhon mein nami kyon hai Jiski chahat mein khud ko bhula diya,Uski chahat mein kami kyon hai..

IS DUNIYA KE BHEEDH ME KAHE KHO NA JAYE HUM


Is duniya ki bheedh me kahe kho na jaye hum ,
kaise hum ko dhoondho ge us me agar kho jayge hum,
dar lagta hai is duniya ke bheed se,
ji na sakege kho kar tum ko hum,yaad rakhna tum hum ko sada,
ke is bheed me bhe koe tumhara hai,
is duniya ke bheed mei kahe kho na jaye hum...

Ek pyari si surat,

Ek pyari si surat,Ek masum sa chehra,2 jheel si ankhe,Kuchh mithi mithi baate,Ek nazuk ada,Ek pyari si surat .............Kuchh masti kuchh maza,Ek pyari si surat .............Thodi si shrarat,Bahut sari mohabbat,Ek bholi si muskan,Ek jadoo hai us ke baato mei,Ek khooshbo si hai us meiEk pyari si surat .............Ooncha udne ka armaan,Sabse alag sabse juda,Jiski hai pyari har ek ada
Ek pyari si surat,Ek pyari si surat,

वो एक पागल सी लड़की

Ek pagal pagal si ladki…dil toornay se darti thi…….har pal har lamha khud se woh jhagarti thi…ansoo kiun aye kisi ankhmain mujrim khud ko samujhti thi…Ek pagal si ladki......soo baar kaha aaay nadan larki..dunya ko dekhna choor dey…khud se ulajhna choor dey...Ek pagal si ladki........ dukhon ko sametay appne anchal main…ankhon main jazbaat nahi..pahlay si halaaat nahi…Ek pagal si ladki.....Farq srif itna hoa…khud apne armano ko tood dia…tanhayeyoun se rishta jorr dia..phir tanha tanha rehni lagi…phir khud ko appne me samet leya…WOH IK PAGAL PAGAL SI LARKI….JO DIL TOORNAY SE DARTI THI …

WO EK PYAARI SI LADKI


Wo ek pyaari si ladki,Appne he baato me khoe hue si,Appne he duniya mei doobe si,Neele asman ko choone ki chaht,Neeley asman mei udhne ki chaht,Pancheo ke sang udhne ke chaht,Usko yaad nahe is duniya ke ,Wo ek payri si ladki.........Us ke pyari si do ankhoo mei,Un me chupa hai koe gahra a raaz,Na jane wo duniya si kyu chupati ferti hai,Dil karta hai, us ke ankhoo me padhlo wo sab a raaz,Par sochte hoon ,kahe tood na do us ke khawab,Wo ek pyaari si ladki.....